• « Home | That's me lately » | From Chukku Kaapi to Cappuccino » | Desperate IITians » | Taxing experience » | 10000 and going strong… » | ParT tHrEE » | Working hard... PARTYING HARDER Part-II » | Working hard... PARTYING HARDER - PART 1 » | Koi lauta de who… » | Ganguly Vs Chapell » 

    Friday, March 24, 2006 

    Over heard…

    Yesterday while going to my friends place, (NIFT wala, w.r.t previous post) I was listening to radio. This grl Maya was the RJ, I was listening to her for the 1st time, but I really liked her style of introducing the songs. Instead of the normal inro’s she was narrating a story, She was already half way thru when I tuned into the station, but still I really felt touched by her narration.

    The basic story line is the same, but since I remember only some points from her story I’ve probably woven a different story all together…

    Aksar jab main sadak par ja rahi hoti hun to lagta hai ki peeche se koi pukar raha hai. Main mud kar dekhti hun par peeche koi bhi nahi. Awazeein phir gunjti hai, main phir ghumti hun lakin phir bhi koi nahi. Hothon par ek dabi se muskan ubhar aati hai, aur main ghar ki yaad main kho si jaati hun, peeche se ma ki aawaz aati hai, "Maya, bahut dair ho gayi, chalo ab ghar ke andar aa jao", ya bhaiya chillata hai "Maya chal andar,". Bhopal main bitaye woh bachpan ke din, aankhon ke saamne aa jaate hain. Woh ghar ke samne chota sa park, jismain bachon ke khelne ki aawazeen abhi kano main gunj rahi hai. Office se lautte Papa ke scoter ki aawaz, jisse main dur se hi pehchan leti thi, aur daud kar andar unse milne aati thi aur haath badha kar bolti thi, "Papa meri toffee". Aur phir wapis park main apne doston ke saath, sabke samne, dikhate hue who toffee main khati thi. Yehi sochte hue main apne society main ghusi, bache samne khel rahe hain, aur phir se ek awaz aati hai, par iss baar who mere khayalon main nahi, koi phir se kissi ko pukar raha hai, "Neha, bahut dair ho gayi, chalo ab ghar ke andar aa jao" aur main apne khayalon se wapis aa jaati hun, jaisse kissi ne jhakjor sa diya ho. Aankhon se aasu chalak padte hain, aakhir yahan kaun hai mera? Kisse mere ghar jaldi aane ka intezar hai? Main to ek musafir hun, haan ek musafir…

    And then the song begins…
    yahan kaun hai tera,
    musafir…, jayega kahan…

    Hmm... sala mere saath aisa kabhi nahi hua be..hamesha ghar se paisa jhaap ke khud se toffy kharidna padta tha..

    n khelna chor ke toffy khane jaana.. i m not lichhad...

    neway.. not to hurt the beautiful sentiments of other ppl.. This feeling n those tears of old memories r going to be a part of life from now on.. i feel it n u hv realised it..
    let this thought enourage u that someday u will be the one taking care as uhave been takn care of.. n u will do a grt job..

    Dude u have been tagged by me.. he he

    check out my blog at http://creatavi.blogspot.com/

    yahan kaun hai tera,
    musafir…, jayega kahan…


    melodious song with such a nice intro
    next line goes like this

    Kehte hain gyani duniya hai pani, pani pe likhi likhayi kisne hai dekhi kisne hai jani...

    my post
    I thought the second stanze was quite appropriate for super-final years (or for that matter any person who feels left out from the society)
    koyi bhi teri..raah na dekhe..nain bichaaye na koi :)

    kya yaar advertise karte ho 3 post and deliver karte ho 2 ...not done...not done...

    its always endearing to hear someone open up their thoughts and emotions and even better when someone puts it as poetically the rj did...maybe we feel the need to live more than one live which makes us savour these accounts

    kaun radio hai be ...

    good touchy ..

    YAHAN to raat ko sirf Dr LOVE ke gundae sun raha hoon

    @ dadi
    hausla afzai ke liye sukriya, sahi main purane din yaad aa gaye
    @ guta
    lichad saale baat feelings ki hai objects ki nahi, saale ismain jitna bhi cheez likha hai usmain shayad 10% bhi mere life main nahi hua hoga, incident is not imp, the feelings at that time were very similar thou
    @ narendra
    1st time visitor? thank u very much for the comment. the entire song is beautiful i agree
    @ iyer,
    read the post dude, sahi main very meaningful when u just sit back and gather ur thoughts
    @ C-uddu
    saale tune ek padh liya tha to kya janta ke liye to 3 naye post hi the, waise ab to aur bhi bahut saare naye aa gaye hain :)
    sahi main u need someone to make u realise this side of ur persona, saala khud se to sabhi kamine pathar hi ho gaye hain
    @ buddhe
    radio city par hi tha be shayad, uske baad bhi ek baar suna, waisa hi kuch account, waisa hi kuch gaana. sahi main frsh change from all the bloody Dr Luv's

    http://www.healthinsurance.net.in/
    nice site

    http://www.moviespoint.org/
    very site

    Post a Comment